Sports in Islam
SPORTS IN ISLAM (kya games aur sports Islam se alag aur fizul chiz hain) "Fizul aur bekaar ko agar aap saada lafzo me mutayyan karna chahen to ek lafz samjhlen Jo chiz Aakhirat me kaam na aaye wo is duniya me bekaar hai. Iska matlab ye nahi ke mazaah (mazak) bhi na kare. Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne bhi Mazaah farmaya hai. Fizul aur bekaar ka matlab ye nahi ke duniyawi kaam kaaj na kare, nahi Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne bhi anjaam diye hain! Aapne Tijarat farmayi (Business), Sayyeda Khadija tul Kubra RadiAllahu Anha ka Samaan-e-Tijarat leke Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Khud Shaam (Syria) ki mandiyo me Tashreef lejate they. Fizul aur bekaar ka matlab ye nahi ke aap sport na khele game na khele cricket na khele, football, kabaddi, kushti aur digar games na khele, nahi..Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Khud sports ki hosla afzayi farmayi hai! Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Khud tirandazi ki hai, ghudsa...