Qayamat kab???
QAYAMAT KAB..??!!
Allah Ta'ala k Khas wa Muqarrab babde...
Jo 12 Tarh k hote hai..
1- Aqtaab
2- Gaus
3- Imamain
4- Autad
5- Abdal
6- Akhyaar
7- Abraar
8- Nuqba
9- Nujba
10- Umood
11- Maqtumaan
12- Mufardaan
Aaiye Aage Dekhiye ki,
QUTBUL AALAM ek hi Hota hai... Jise QUTBUL IRSHAAD, QUTBUL AQTAAB ya QUTBUL MADAAR bhi kaha jata hai...
Us k do (2) vajir hote hai, jinhe IMAMAIN kaha jata hai...
Barah (12) QUTUB aur bhi hote hai, jin me se 7 QUTUB jo AQLIM me rahte hai unhe QUTB-e AQLIM kaha jata hai... Aur 5 yaman me rahte hai unhe QUTB-e VILAYAT kaha jata hai...
Muqarrar na kiye ho aise QUTUB har shahar (city) aur gau'n (Town) me 1 - 1 hote hai...
AUTAD 4 hote hai.. aur Duniya k 4 kone me rahte hai...
ABDAL 40 hote hai...
AKHYAAR 500 yaa 700 hote hai... Jo qaaim (sadaa k liye) ghumte rahte hai...
Kuchh Buzurgo'n ne AKHYAAR ko hi ABRAAR kaha hai...
NUQBA 300 hote hai...
NUJBA 70 hote hai...
UMOOD 4 hote hai...
GAUS tarakki kar k FARD ho jata hai... Aur FARD tarakki kar k QUTB-e VEHDAT ho jata hai...
MAQTUMAAN aur MUFARDAAN Duniya walo'n se poshida (chhipe huve) hai...
JAB YE LOG DUNIYA ME NA HONGE TAB QAYAMAT AAYEGI...
.
.
#HAWALA : #GULZAAR_e_VEHDAT
& #ANWARUL_AAREFEEN
Comments
Post a Comment