Posts

Showing posts from June, 2021

SADDAM tujhe tera IRAQ bula raha hai

lahoo se rangi hai zameen dil ho gye hain ahle imaan ke sangeen fitna ye kaafiri bahut zor laga raha hai SADDAM tujhe tera IRAQ bula raha hai maa ki god sooni baap ka hath chuta biwi huyi bewa beheno ka bhi dil toota masoom zindigi ko shaitan mita raha hai SADDAM tujhe tera IRAQ bula raha hai wo sisakte bachpan wo gumrah hoti jawani un hathon me hain nashtar jimne kbhi hota tha loh e qurani teri qaum ka ye manzar rooh ko sata raha hai SADDAM tujhe tera IRAQ bula raha hai ye zameen hai Qarbala ki ye zameen hain Ghaus e zaman ki Ya Ilahi kar karam Hussnain ke sadqe har ek muslmaan yahi Awaaz laga raha hai SADDAM tujhe tera IRAQ bula raha hai.

Kaash

  Kaash!! meri koi behen hoti, ladta sabse jyada usse par pyaar me kami na hoti, kehta har baat dil ki usko uski har pareshani meri apni hoti. Chidaata har baat par usko mein, hoti khafa to tohfe dekar manata mein, un tohfon mein uski muskan chupi hoti, kaash!! meri koi behen hoti. Deta dunia bhar ki khushiyan usko badle me kuch lene ki chah na hoti, pakar sb kuch bhi kuch nhi hai mujhpe agar vo mil jati to aaj ye zindigi suni na hoti, kaash!! meri koi behen hoti . Dekho na ye taron aur asmaan ka rishta ye kabhi bhi aik dusre se alag nhi hote ye tare hamesha aab-o-tab k sath asmaan pr chamakte hain... Dekho na ye phoolon ki jaroon ka zameen se rishta ye aik dusre se hamesha jure rehte hain phool , patay aur jarain zameen he k sahare jeete hain... isi tarhaa Dekho na ye behen bhai ka apas main rishta ye aik dusre se khush aur khafa hotte hain mgr ik dusre k baghiar reh nhi saktee sath haste aur sath rote hain zara bhi duor hote hain tau aik dusre ki rah dekhte hain... wo aik dusre k...

Ye FALISTEEN hai

  Ye FALISTEEN hai kar lo sitam jitna ho tum par aye yahood tum qaum e iblis ho shakal hain tumhari saboot par ye Qibla e awwal Yasser ki zameen hai ye Falisteen hai....... ye Qaum sher hai yahan har baccha diler hai yahan sab ke dil me bas Muhammad(salallahu alaihi wasallam) ka deen hai Ye Falisteen hai...... Nanha sa sher bhi yahan dahaadta hai shor se Choti bacchi bhi haraati hai tumko apne zor se Yahan Maayen(mothers) sabar daar or baap hai Fauladi Tumne to Thaani hai is zameen ki barbaadi Nanhe baccho ki apne haath se karte hain widaayi Ye wo nanhi jaan hai jinki hoti hai ruswaayi Har waqt rehta hai in par maut ka saaya Fir bhi koi na inko ab tak haraa paaya Na shams hai na teer, hai na gola baarood inpar Phir bhi koi na jhuka sakega inko dunia ka sitamgar Bhool gye wo waqt jab diya tha tumko sahara Be waqt be aasra tha khema tumhara Ye wahi Musalmaan the jinki wajah se tumhara hai wajood Par namak harami ka har waqt tumne diya sabot Fir bhi Allah hai haf...

Urdu hai mera naam main khusro ki paheli

  Urdu hai mera naam main khusro ki paheli Main meer ki humraaz hu ghalib ki saheli Dakkan ke wali ne mujhe godhi me khilaya Sauda ke qaseedo ne mera husn badhaya Hai meer ki azmat ke mujhe chalna seekhaya Main daag ke aagan me khili ban ke chameli Urdu hai mera naam main khusro ki paheli Main meer ki humraaz hu ghalib ki saheli Ghalib ne bulandi ka safar mujhko seekhaya Hali ne muravvat ka sabak yaad dilaya Iqbaal ne aaina_e_haq mujhko dikhaya Momeen ne sajayee mere khwabo ki haveli Urdu hai mera naam main khusro ki paheli Main meer ki humraaz hu ghalib ki saheli Hai zauk ki azmat ke diye mujhko sahare Chakbast ki ulfat ne mere khwab saware Fani ne sajaye meri palko pe sitare Akbar ne rachayee meri berang hatheli Urdu hai mera naam main khusro ki paheli Main meer ki humraaz hu ghalib ki saheli Q mujhko banate ho tassub ka nishana Maine to kabhi khud ko musalmaa.N nahi mana Dekha tha kabhi maine bhi khushiyo ka zamana Apne hi watan me hu magar aaj akayli Urdu hai mera naam main khu...