SADDAM tujhe tera IRAQ bula raha hai


lahoo se rangi hai zameen
dil ho gye hain ahle imaan ke sangeen
fitna ye kaafiri bahut zor laga raha hai
SADDAM tujhe tera IRAQ bula raha hai
maa ki god sooni
baap ka hath chuta
biwi huyi bewa
beheno ka bhi dil toota
masoom zindigi ko shaitan mita raha hai
SADDAM tujhe tera IRAQ bula raha hai
wo sisakte bachpan
wo gumrah hoti jawani
un hathon me hain nashtar
jimne kbhi hota tha loh e qurani
teri qaum ka ye manzar rooh ko sata raha hai
SADDAM tujhe tera IRAQ bula raha hai
ye zameen hai Qarbala ki
ye zameen hain Ghaus e zaman ki
Ya Ilahi kar karam Hussnain ke sadqe
har ek muslmaan yahi Awaaz laga raha hai
SADDAM tujhe tera IRAQ bula raha hai.

Comments

Popular posts from this blog

तीसरा विश्वयुद्ध और भारत

वैश्विक राजनीति के बदलते समीकरण

Meraj Un Nabi ﷺ