Mawlood e Kabaa
Mawlood-E-Ka’ba Imam-ul-Muslimin Hazrat Ali KarramAllahu Ta’a’la Waj’hah-ul-Karim Jawf-E-Haram Ya’ni Ka’bat-ul-Allah Ke Andar Tajdar-E-Ahl-E-Ata Mawla Ali Murtaza KarramAllahu Ta’a’la Waj’hah-ul-Karim Kee Wiladat-E-Ba-Sa’adat Hone Par Mukhalafat Karne Waalon Ne Mundarija-E-Zayl Baatein Tehreer Kee Hain : Kya Hazrat Ali Kee Waalidah Ko Ma’loom Nahin Tha Ki Un Ke Haa’n Bachche Kee Paidaaish Hone Waali Hai ? Kya Aisi Haalat Me (Jab Ki Anqarib Paidaish Mutawaqqi’ Thi Aur Ka’bat-ul-Allah Ke Nazdeek Hee Bayte Aboo Talib Tha) Ka’ba Kee Bajaaye Apne Ghar Na Jaaya Jaa Sakta Tha ? Kya Ka’bat-ul-Allah Ka Itna Buland Darwazah Jo Sidhiya’n Chadh Kar Pakada Jaa Sakta Hai Aathaar-E-Wilaadat Ke Baa’d Cross Karna Aasaan Tha Ki Hazrat Fatimah Bint Asad Ne Us Taklif Me Cross Kiya Aur Ka’ba Ke Andar Chali Gayin ? Ka’bat-ul-Allah Me Sirf Hazrat Hakim Bin Hizam Ya Amr Bin Hizam Kee Wiladat Ka Zikr Kitabon Me Milta Hai Hazrat Ali Ka Nahin Milta. Hum Arz Karte Hain Ki Bajaaye Lambi Chowdi Bahas Wa Tamhees Ke ...