Mawlood e Kabaa
Mawlood-E-Ka’ba Imam-ul-Muslimin Hazrat Ali KarramAllahu Ta’a’la Waj’hah-ul-Karim
Jawf-E-Haram Ya’ni Ka’bat-ul-Allah Ke Andar Tajdar-E-Ahl-E-Ata Mawla Ali Murtaza KarramAllahu Ta’a’la Waj’hah-ul-Karim Kee Wiladat-E-Ba-Sa’adat Hone Par Mukhalafat Karne Waalon Ne Mundarija-E-Zayl Baatein Tehreer Kee Hain :
Kya Hazrat Ali Kee Waalidah Ko Ma’loom Nahin Tha Ki Un Ke Haa’n Bachche Kee Paidaaish Hone Waali Hai ?
Kya Aisi Haalat Me (Jab Ki Anqarib Paidaish Mutawaqqi’ Thi Aur Ka’bat-ul-Allah Ke Nazdeek Hee Bayte Aboo Talib Tha) Ka’ba Kee Bajaaye Apne Ghar Na Jaaya Jaa Sakta Tha ?
Kya Ka’bat-ul-Allah Ka Itna Buland Darwazah Jo Sidhiya’n Chadh Kar Pakada Jaa Sakta Hai Aathaar-E-Wilaadat Ke Baa’d Cross Karna Aasaan Tha Ki Hazrat Fatimah Bint Asad Ne Us Taklif Me Cross Kiya Aur Ka’ba Ke Andar Chali Gayin ?
Ka’bat-ul-Allah Me Sirf Hazrat Hakim Bin Hizam Ya Amr Bin Hizam Kee Wiladat Ka Zikr Kitabon Me Milta Hai Hazrat Ali Ka Nahin Milta.
Hum Arz Karte Hain Ki Bajaaye Lambi Chowdi Bahas Wa Tamhees Ke Sirf Aik Baat Ka Jawab De Do Ki Jo Jo I’tirazat Wa Ishkalat Hazrat Mawla Ali KarramAllahu Ta’a’la Waj’hah-ul-Karim Kee Ka’ba Me Wiladat Hone Par Tumhein Pareshaan Karte Hain Kya Woh Kisi Doosare Ke Bayt-ul-Allah Me Paida Hone Par Pareshaan Nahin Karte ?
Kya Jab Ba-Qaul Aap Ke Hakim Bin Hizam Ka’bat-ul-Allah Me Paida Huwe To Ka’bat-ul-Allah Ko Un Kee Walidah Ke Qadmain Ke Musaawi Tum Ne Kiya Tha ?
Kya Us Waqt Ka’bat-ul-Allah Ke Darwazah Kee Sidhiya’n Na Thi ?
Jab Ki Woh Sahabi-E-Rasool Hain Un Ka Zamana Taqriban Muttasil Hee Hai.
Kya Un Kee Walidah Ko Bachche Kee Paidaish Ma’loom Na Thi Ki Woh Ka’bat-ul-Allah Me Tashrif Le Aayein Aur Kya Woh Bajaaye Allah Ke Us Paakizah Ghar Ke Kisi Aur Jagah Jalwah Afroz Ho Jaatein To Koi Rukaawat Thi ?
To Hazrat Hakim Bin Hizam Kee Wiladat Ko Ka’bat-ul-Allah Me Taslim Karne Ke Siwa Koi Pareshani Laahiq Nahin Hoti Aakhir Us Kee Kya Wajah Hai ?
Kahin Bughz-E-Ali Ka Shaakhasaana To Nahin ?
Kahin Khaarjiyon Kee Khushnoodi To Madde Nazar Nahin ?
Kahin Hataame Dunyaawi Ne To Bad Mast Nahin Kar Diya ?
Jab Ki Aboo Abd-ul-Allah Muhammad Bin Abd-ul-Allah Bin Muhammad Imam Hakim Nishapuri Al-Mutawaffa 405 Hijri “Hakim Fi Al-Mustadrak” Me Raqamtaraz Hain :
“Amir-ul-Momineen Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’a’la Waj’hah-ul-Karim Jawf-E-Ka’bat-ul-Allah Me Paida Huwe.”
–
[Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/197.]
Ilaawah Azi’n Mulla Ali Sultan Muhammad Al-Qari Al-Mutawaffa 1014 Hijri “Sharh-ush-Shifa” Me Jild-01, Safah-327, Me Bhi Likhte Hain.
Suwaal :
Ka’ba Sharif Me Paida Hone Kee Khushoosiyyat Sirf Hazrat Ali Ke Liye Hai Yeh Durust Nahin Hai Kyun Ki Ka’ba Me To Aap Se Pehle Amr Bin Hizam Kee Wiladat Huwi Thi Jis Se Zaahir Hai Ki Ka’ba Me Paida Hone Kee Takhsees Hazrat Ali Ke Liye Nahin Hai.
Jawab :
Hazrat Ali KarramAllahu Ta’a’la Waj’hah-ul-Karim Ka Ka’ba Me Paida Hona Yeh Khabar Mutawatir Se Saabit Hai Jaisa Ki “Izalat-ul-Khafa’ ‘An Khilafat-ul-Khulafa’” Se Guzara Hai.
Amr Bin Hizam Waali Riwayat Mutawatir Se Nahin Hai Neez Ka’ba Me Paida Hone Waale Us Shakhs Ke Naam Se Muhaddithin Aur Ulama-E-Siyar Muttafique Nahin Hai.
Baa’z Ne Amr Bin Hizam Ke Bajaaye Hakim Bin Hizam Bataaya Hai.
Ba’iyn Wajah Sadooq Aur Thiqah Muhaddithin Ne Is Ka I’tibaar Nahin Kiya Agar Is Ko Taslim Kar Liya Jaaye To Amr Bin Hizam Ka Ka’ba Me Paida Hona Us Ke Liye Baa’isth-E-Sharf Nahin Hai.
Chunanche Allama Abd-ur-Rahman Safoori Likhte Hain :
واما عمرو بن حزام فولدتہ امه فى الكعبہ اتفاقاهلاقصدا
Ki Amr Bin Hizam Kee Maa’n Ka Amr Bin Hizam Ko Ka’ba Me Janam Dena Yeh Amr Ittifaqi Hai.
Qasdi Nahin Hai Lekin Hazrat Ali Alayh-is-Salam Ka Ka’ba Me Paida Hona Qasdi Hai Ki Yeh Fazilat Khaas Taur Par Allah Ta’ala Ne Hazrat Ali RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ke Liye Makhsoos Kar Rakkhi Thi. Chunanche Likhte Hain :
ان عليا رضي الله عنه ولدته امه بجرف الكعبتہ شرفها الله تعالى دھى فضيلتہ خصہ الله بها (نزهتہ المجالس، ج ٢ ص ٢٠٥ )
Ab Tasreeh Maujood Hai Ki Ka’ba Me Hazrat Ali KarramAllahu Ta’a’la Waj’hah-ul-Karim Ka Paida Hona Qasdi Hai Yeh Aap Ke Liye Fazilat Aur Takhsis Hai Jo Kisi Doosare Ko Haasli Nahin Hai.
Allama Shablanji Al-Mutawaffa 1290 Sinn Hijri , Allama Noor-ud-Deen Ali Bin Muhammad Al-Sabbagh Al-Maliki Al-Makki Al-Mutawaffa 855 Sinn Hijri Se Naqal Karte Huwe Likhte Hain Ki Ali Bayt-ul-Haram Me Jumu’ Ke Din Teyrahwin Rajab Ko Paida Huwe.
ولم يولد فى البيت الحرام قبلة احد
Aur Bayt-ul-Haram Me Ali Se Pehle Koi Paida Na Huwa.
Ab Is Se Zaahir Hai Ki Allama Shablanji Ke Qaul Ke Mutabiq Amr Bin Hizam Waali Riwayat Mu’tabar Nahin Hai Isi Liye Kaha Ki Hazrat Ali Ke Siwa Ka’ba Me Koi Paida Nahin Huwa.
–
[Barah-12 Imam Alayhim-us-Salam, Mufti Ghulam Rasool Jama’ati Naqshbandi, Saf’h-211, 212, 213.]
Allama Yoosuf Bin Farghali Bin Abd-ul-Allah Al-Baghdadi Sibt Abi-‘l-Faraj Abd-ur-Rahman Bin Al-Jawzi Al-Mutawaffa 654 Hijri Apni Kitab “Tadhkirat-ul-Khawas” Me Likhte Hain Ki :
“Hazrat Fatimah Bint Asad RadiyAllahu Ta’ala Anha Khana-E-Ka’ba Ka Tawaf Kar Rahi Thi’n Jab Ki Ali RadiyAllahu Ta’ala Anhu Un Ke Shikam Me They.
Unhein Darde Zeh Shuru’ Huwa To Un Ke Liye Deewar-E-Ka’ba Shaqq Huwi Pas Woh Andar Daakhil Huwin Aur Wahin Ali Alayh-is-Salam Paida Huwe.”
–
[Tadhkirat-ul-Khawas , Saf’h-28.]
Balki Nawab Siddique Hasan Khan Bhopali 1307 Hijri “Takreem-ul-Momineen” Me Ba-Unwan Zikr-E-Sayyiduna Ali Ibn Abi Talib RadiyAllahu Ta’ala Anhu Likhte Hain Ki :
“Wiladat Un Kee Makka Mukarramah Me Andar Bayt-ul-Allah Me Huwi In Se Pehle Koi Bayt-ul-Haram Ke Andar Mawlood Nahin Huwa.”
–
[Takreem-ul-Momineen, Saf’h-99.]
Shaykh Abd-ul-Haque Bin Sayfud-Deen Muhaddith Dehlvi Bukhari Al-Mutawaffa 1052 Hijri Likhte Hain :
“Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’a’la Waj’hah-ul-Karim Ka Naam Un Kee Maa’n Fatimah Bint Asad RadiyAllahu Ta’ala Anha Ne Haydar Apne Baap Asad Ke Naam Par Rakkha Aur Jab Aboo Talib Aaye Aur Un Ko Yeh Naam Pasand Na Aaya To Unhone Ali Naam Rakkha Aur Payghambar-E-Khuda SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Siddique Naam Rakkha Jaisa Ki Riyad-un-Nadarah Me Hai Aur Kunniyat Rakkhi Aboo Ar-Rayhanatayn Aur Neez Baydat-ul-Balad Aur Ameen Aur Sharif Aur Haadi Aur Muhtadi Aur Dhu-‘l-Udhun-ul-Wa’iyyah Aur Ya’soob-ul-Ummah Laqab Rakkhe Aur Raawiyon Ka Bayan Hai Ki Wiladat Un Hazrat Kee Andarune Ka’ba-ul-Allah Huwi.”
–
[Madarij-un-Nubuwwat, 02/531.]
Comments
Post a Comment