Beautiful Hadith

Hazrat Umar se pucho Hasnain Kareemain Kaun Hain!

"Badi Imaan Afroz riwayat Hazrat Abdullah ibne Abbas RadiAllahu Anhuma farmate hain jab Madayen Fatah hua, Iraq aur Baghdad aur Madayen ye sab Iran ke subey aur ilaake they. To jab Madayen Fatah hua to Maal-e-Ganimat aaya aur wo saara Maal-e-Ganimat Masjid-e-Nabwi me Sayyeduna Umar-e-Farooq RadiAllahu Anhu ne dher laga diya. Aur dher lagakar uske baad dene lage. Sabse pehle Aapne Sayyeduna Imam Hasan-e-Mujtaba ko aawaz di. Aur Imam Hasan-e-Mujtaba ko Aapne 1000 dirham pesh kiye bade Ikraam ke sath. Uske baad Aapne Sayyeduna Imam-e-Hussain ko aawaz di aur bade Ikram aur Tazeem ke saath Unko bhi 1000 dirham pesh kiye. Fir Wo baithgaye to teesre number pe Aapne Apne Sahabzaade Hazrat Abdullah bin Umar ko bulaya. Jab Wo aaye to Unko usi me se Aapne 500 dirham, aadhi raqam pesh ki. Unhone Imam Hasan-e-Mujtaba ko 1000 dirham Imam Hussain ko bhi 1000 dirham magar Apne Bete Abdullah ko 500 dirham.
Hazrat Abdullah bin Umar RadiAllahu Anhuma Sahabi bhi they aur umr me senior bhi they Hasnain Kareemain se, to Unhone arz kiya Apne Abbajaan se: Abbajaan mai us waqt Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Qayadat me Gazwat me talwar chalake kuffar ko qatl kiya karta tha jab Hasnain Kareemain choti umr me bache they galiyon me khelte they. Aur Unhone Hadeese riwayat ki hain hazaarha ki tadat me matlab ke bahot Khidmat me they Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke. Hasnain Kareemain umr me bahot chote they, Inko Aapne 1000-1000 dirham dediya aur Mai jo umr me bada aur tarikh bhi Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke saath Gazwat aur Jihad me hissa liya to muje 500 dirham, Unse aadha diya, ye fark kyu kiya?

Sayyeduna Farooq-e-Aazam RadiAllahu Anhu ne jab ye baat Apne bete se suni Jalal me aagaye! Bete Abdullah bin Umar se kaha:
Haan!  Jao "Izhab fa'atini be Abinka Abeehima wa Umin ka Ummihima wa Jaddin ka Jaddihima wa Jaddatan ka Jaddatihima wa Amin ka Ammihima wa Amatin ka Amatihima wa Khalin ka Khalihima wa Khalatan ka Khalatihima, fa Innaka  la ta'atini he bihi!"

Ye Alfaz! Jalal me aagaye aur farmaya: Beta Abdullah tum Hasan o Hussain ke saath muqable me apni baat Mujhse puchte ho? To jao Inke Baap jaisa koi Baap le aao! Hasan o Hussain ki Maa jaisi Maa mere paas le aao! Inke Nana jaisa koi Nana le aao! Inki Nani Amma jaisi koi Nani le aao! Inke Chacha jaisa koi Chacha le aao! Inki Phuphi jaisi koi Phuphi laao! Inke Maamu jaisa Maamu laao! Inke Khala jaisi Khala laao! Aur Khuda ki Qasam! Umr bhar ek rishta bhi Inke Rishte jaisa tum nahi laa sakte!

Allama Zamakhshari aur Imam Ismail raazi ne aage bayan kiya ke Sayyeduna Farooq-e-Aazam RadiAllahu Anhu aage fir wazahat me farmaya: Fa Amma Abu Huma Fa Ali ul Murtaza, Inke Walid Ali-e-Murtaza Hain,  Inki Maa Fatimah Tuz Zahra Hain, Inke Jadd (Nana) Muhammad-e-Mustafa Hain (SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam), Aur Inki Nani Khadijatul Kubra Hain, Inke Chacha Jafar bin Abu Talib Hain, Inki Phuphi Umme Haani binte Abu Talib Hain Jinke Ghar Huzoor Lete they ke Jibrael Buraaq leke aagaye aur Meraj farmaya, Inka Maamu (Sayyeda Fatimah tuz Zahra ke Bhai) Ibrahim bin Muhammadur RasoolAllah Hain, Inki Khaala Ruqaiyyah aur Umme Kulsum hain!
Jab ye sab chizen bayan ki to wo khamosh hogaye aur maafi mangli.

Ye saara waqiya aur saara bayan Sayyeduna Maula Ali al Murtaza tak pahuncha, Allama Zamakhshari riwayat karte hain, jab ye saara Sayyeduna Umar-e-Farooq RadiAllahu Anhu ka bayan Sayyeduna Maula al Murtaza tak pahuncha ke aaj ye waqiya hua aur Unhone me Mimbar pe jalal me aake ye Khitab kiya hai Hasnain Kareemain ki Shan me aur Khanwaada-e-Rasool ki Shaan me! To jab Untak Ye Baat pahunchi to Sayyeduna Maula Ali al Murtaza ne kaha:
"Khuda ki Qasam! Sameytu RasoolAllahi SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Yaqoolu: Umar ibnu Khattab Siraju Ahlil Jannah!"

Maula Ali al Murtaza tak ye baat pahunchi Hazrat Umar ne aaj ye Khitab kiya hai  to Maula Ali al Murtaza ne farmaya: "Khuda ki Qasam! Maine bhi Apne Kaano se Tajdaar-e-Kainat se suna hai ke Umar-e-Farooq Jannatiyo ka Charaag hai!!"
Siraju Ahlil Jannah, Ahle Jannat ka Siraaj Hai! Jawab me Unhone ye kehla bheja ke Maine bhi Aaqa se kuch suna hai ke Umar Ahle Jannat ka Siraaj Hai!

Ab ye Baat Sayyeduna Maula Ali al Murtaza ki fir palat kar Sayyeduna Farooq-e-Aazam tak pahunchi ke Ali-e-Murtaza ne Ye kaha hai! Baat pahunchne ki der thi betaab hogaye! Kaagaz aur kalam utha liya ur Hazrat Ali ke paas gaye ke Mere Bhai Ali Khuda ki Qasam Aapne Ye Baat Huzoor se suni? Farmaya Haan Umar Maine suni. Farmaya: Mujhe Apne kalam se ye certificate likhkar dedo!! Sayyeduna Maula Ali al Murtaza se kaha Apne Kalam ye Shahadat likhkar dedo ke Aapne Ye suna hai!

To Sayyeduna Maula Ali al Murtaza ne kagaz lekar likha:
"Bismilla Hir Rehma Ni Raheem, Allah ka Naam leke likhta Hun aur Zamanat ke saath likhta hun ispar ke Maine Umar Ibnul Khattab ke Haq me Rasool-e-Pak se suna aur Rasool-e-Pak ne Jibrael-e-Ameen se suna aur Jibarel-e-Ameen ne khud Khuda se suna "Anna Umar ibnul Khattab Siraaju Ahlil Jannahati fil Jannah" ke Umar ibne Khattab Jannat me Ahle Jannat ke Chirag honge!

Jab Maula Ali al Murtaza ne Ye likhkar dediya to Hadees me suniye Sayyeduna Farooq-e-Aazam ne Maula Ali al Murtaza ke Haatho se likha certificate Aaqa ki Hadees-e-Pak ki ye Shahadat Apni aulad ko diya aur wasiyat kardi farmaya: Ye Ali-e-Murtaza ne Jo Apne Haath se mere Aaqa ka Kalaam likhkar diya hai sambhaal lo, jab Mai wafaat pa jaau aur tum Mujhe kafan do to Ye Ali-e-Murtaza ka likha hua Khat Tajdar-e-Kainat ki Hadees ka, Mere kafan me andar rakhkar Mujhe dafan kardena Ye Meri Magfirat ki Sanad hai!
To jab Aapka Wisaal hua (Shahadat) to Sayyeduna Maula Ali-e-Murtaza ka Likha hua Ye Khat Unke Kafan me rakha gaya aur us Khat ke samet Aapko Dafn kiya gaya.

Aur Sayyeduna Maula Ali al Murtaza se ye bhi riwayat hai ke: "Umar-e-Farooq ke gazab, narazgi se bacha karo, jab Wo naraaz hote hain to Khuda naraaz hota hai!"
Aur Unhone Sayyeda Fatimah tuz Zahra Salamullahi Alaiha keliye kaha Sahaba ne ke Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya:  "Logo Meri Fatimah ke gazab aur naraazgi se bacho, Khuda ki Qasam jis se Wo naraz hojaye us se Khuda Mu mod leta hai!"

Ye aise Ek Dusre keliye Kalaam, Ek Dusre se Aisi Muhabbat aur Tazeem! Aise they Unke Aapas me Talluqat!"

SallAllahu Alaihi Ala Aalihi wa Sahbihi wa Baarak wa Sallam
Alaihim Afdalus Salawatu was-Salaam

-Shaykh-ul-Islam Dr. Tahir-ul-Qadri

Allahumma Salle Ala Sayyedina wa Maulana Muhammadiw wa Ala Aalihi wa Sahbihi wa Baarik wa Sallim.

Comments

Popular posts from this blog

तीसरा विश्वयुद्ध और भारत

वैश्विक राजनीति के बदलते समीकरण

HUZOOR SALLALLAHUALAIHIWASALLAM KI ZAHIR ZINDIGAI ME OR WAFAAT KE BAAD WASILA KA SABOOT