Maa Ayesha ki Umr mein Ikhtilaaf

Zishan Cool bhai ne sawal kiya tha

//....assalamoalaikum bhaijaan aapse mera sawal ye tha k hazoor akram sallahoalaihewasalm ne aisha raziallaho anhu se itni chhoti umr m q shadi ki bcoz hazoor apne khud bahut bre the unse mai aapse ye isliye puch rha hn k hindu bhai iska mtlb kuch aur smjh lete h aur mjhe sahi se maalum nhi h so aap ise achhe se smjhaye puri detail k saath k humare hindu bhai v jaan ske aur unke dil m jo gltfahmi ho dur ho jaye..//

.

Wa alaikum Assalam Wa Rahmatullah Wa barkatohu bhai..... Sawal karne ke liye Shukriya

Bhai, Ammi Aisha razi. Ke bare me bukhari sharif ke hawale se ye khyal kiya jata hai ki wo apne nikah ke waqt 6 saal ki thin,

Beshaq, ammi Aaisha razi. Aur Nabi karim S.a.w. ki umr me fasla tha ,lekin Aaisha razi. Itni chhoti bhi nhi thin jitna khyal kiya jata hai

khud bukhari ki hi 2 subject ki hadith is baat ke khilaf hain ki amma Aaisha razi. Apne nikah ke waqt 6 Saal ki thin

us zamane ka riwaj tha ki koi bhi shakhs 15 saal ki umr se pahle kisi jang me shamil nahi ho sakta tha, Ye kai hadiso se saabit hai . aur Bukhari sharif me likha hai ki Maa Aisha rzi. Jange Uhad me shamil hui thin (Sahih Bukhari, Book -52 , Hadith -131 aur Book -58 , Hadith -156 ) . Jange Uhad 3 hijri me hui thi Yani 2 hijri me apni shadi ke waqt wo 14 saal se upar ki thin tabhi to 3 hijri me 15 saal se upar ki hokr jang me shamil ho sakin

Sahih Bukhari me he kitab 61 hadith 515 me ammi Aisha r.a. farmati hain ki wo Surah Qamar ke nazool ke waqt Playing age ki young girl thin (Jariyah), Jariyah classical arabic term hai jo adolescence ke aas paas ya us se badi umr ki ladkiyo ke liye use hota tha . aam taur pe ladkiyo me adolescence yani kishorawastha 9 saal ki umr me aati hai.

Zyadatar Islamic Scholers ki yahi raay hai ki Surah Qamar ka nazool hijrat se 8 saal pahle hua (The Bounteous Koran, M.M. Khatib, 1985), Aur hijrat ke dusre saal Ammi Aisha r.a. ki shaadi Aap s.a.w. ke sath hui,

Yani Surah Qamar ammi Aisha R.a. ki shadi se 10 saal pahle nazil hui thi, yaani agar Surah Qamar ke nuzool ke waqt Ammi Aisha r.a. 9 saal ki bhi thin to apni shadi ke waqt 19 saal ki thaharti hain

Isi tarah Allama Ibne Kasir ne Tafseer Al-badaya me likha hai ki Asma bint Siddiq ki wafat 73 Hijri me hui tb unki umr 100 Se upar thi . Asma bint siddiq Maa Aisha ki badi bahan thin aur Maa Aisha se 10 Saal badi thin hijri ki shuruwat me jahan Asma rzi ki umr (100-73=27) 27 Saal thi Maa Aisha rzi. Ki umr unse 10 Saal kam yani 17 saal thi .
Aisha rzi. Ki shadi Nabi karim se 2 hijri me hui thi yani Aisha rzi. Ki umr 17+2=19 shadi ke waqt 19 Saal se zyada thi

Aur is shadi ka maksad physical relation banana nahi tha balki is shadi ka maksad tha aurato ke gupt vishayo me islam ki shiksha ko aurato tak pahochana . ab kyunki sharm wali baten koi aurat sidhy Prophet Pbuh se nhi puch sakti thin So ek aisi hoshiyar aur apni baat khoob achi tarah se dusro ko samjha lene wali aurat ki awashyakta mahsoos hui jo ki koi bhi gupt vishay se sambandhit baat Prophet Pbuh se pooch sake aur us baat thek thek aur achi tarah se aurato ko samjha sake
maa Aaisha radi. me ye saare gun thy. Pati patni ke beech me parda nahi hota aur ek patni apne pati se saari gupt baaten kr sakti hai, isliye maa Aaisha radi. ka nikah Nabi kareem s.a.w. ke sath kiya gaya

Maa Aaisha rzi. ne deen ki tableeg ka kam bahot khubi se kiya unki riwayato ki tadad isi wajah se Abu huraira rzi. ke alawa sabse zyada hain.

Comments

Popular posts from this blog

तीसरा विश्वयुद्ध और भारत

वैश्विक राजनीति के बदलते समीकरण

Meraj Un Nabi ﷺ